Friday 17 July 2020

wishes

tum badho...aage badho..bekhof.....
main sath hoo...har pal..har kadam......

agar jarurt ho,to yad karna
na ho to b mujhe yad rakhna.....
or dekhna
samay kaise badlata hai....
or b achhe aayam gadta hai.......
apne me ram jao tum swayam...
main sath hoo...har pal...har kadam.....

tum muskurana,main chhalak jaunga
tum machalna,main mehak jaunga...
tum me hi main hu
mujhme hi tum ho...
zra samjho
main vishvas hoo...
khas hoo...
tumhara prayas hoo.....
naya aayam hoo....
han main tum me basa bhagwan hoo...

tum badhti raho...
yo hi..anant....chir kal tak...
lambi aayoo...bade sapne...athah prayas.....
or....saflta pr saflta tak....
main sath hoo.......
main sath hooo............
har pal...har kadam...............har kadam..................